dunya samajh rahi thi shanasaiyo'n mai tha
lekin wo meri rooh ki gehraiyo'n mai tha
kehta tha mera sath nibhaye ga umr bhar
ye raaz ab khula k wo harjaiyo'n mai tha
chehrey badal badal k wo daita raha faraib
wo jo merey khayal ki parchhaiyo'n mai tha
wo qatilo'n ka jashn tha kab thi meri baraat
maatam kisi ki maut ka shehnaiyo'n mai tha
SHAHEEN usko rail mai chhorh aayee thi magar
lagta tha wo makaan ki anganiyo'n mai tha

No comments:
Post a Comment